aas laga ke kab tak baithoge,bol do, kahi saver na ho jaye.
jee rahe the zindagi, maze me the hum,
sang thi der saari khushi, door the ghum,
achanak ehsaas hua, kahi waqt ka ulat pher na ho jaye,
sapne dekh rahe the hum,maankar raat hai,kahi saver na ho jaye.
kahi suna hai, dil ke baatein sabhi ko batate nahi hain,
haan lekin dosto se chupate bhi nahi hain,
aye dost, kaise bayan karein,darr lagta hai, sab dher na ho jaye,
ishq karte hain tumhi se, ab lagta hai,kahi saver na ho jaye.
dil dosti ki kasmakash me,antatah main haara,
kaash main banu tumhara veer, tu meri zaara,
guzarish hai uss khuda se, jara hum par bhi diler ho jaye,
chahe wo hume iss kadar se, bus ab saver hi ho jaye.
filmi hai thoda :) but accha hai :)
ReplyDelete