Ek pal bhi tere bagair rehna, muskil ho chala hai,
rag rag me behta khoon bhi jaise dil ho chala hai.
jab saath tu hai hoti,
ek junoon sa rehta hai,
gar door tu ho jati,
mann gumsum rehta hai.
Inn chhoti chhoti atkeliyon se, dil gair ho chala hai,
mann aur mashtishk me jaise kuch bair ho chala hai.
Mat khel aisi holi,
Jisme rang hi nahi ho,
Na baith aisi doli,
jahan sang mera nahi ho.
Yun muskara ke dil todna, to tera khel ho chala hai,
bus kar aye zaalim, mujh pe ye jail ho chala hai.

bahut khubsurti se likha hai :)
ReplyDelete